git bante hue har saz se Dar lagta hai

git bante hue har saz se dar lagta hai
khamushi ab teri aawaz se dar lagta hai

pahle aaghaz tha anjam se khaif lekin
aaj anjam ko aaghaz se dar lagta hai

tu ne har daur mein ki hum pe inayat lekin
zindagi ab tere eajaz se dar lagta hai

phir kisi taj ki zid tul pakad le na kahin
ghar ke har shah ko mumtaz se dar lagta hai

khauf aata hai tabiat ke khule rahne se
be-khatar soch ki parwaz se dar lagta hai

teri har baat ke andaz nirale hain 'rafia'
tujh se wabasta har ek raaz se dar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close