go aap ko hai ishq har ek mah-laqa ke sath aqd-e-mubin kijiye aql-e-rasa ke sath minnat ki aajizi bhi ki zari bhi ki magar apna to kaam nikla tha jaur-o-jafa ke sath yun to wafa ki dewiyon ki ek thi qatar lekin nibhi to nibh gai ek bewafa ke sath har kaam mein qarina saliqa to chahiye kya hai ajab ki pyar ho sharm-o-haya ke sath kyon khwah-makhwah zist ko zindan bayan karen guzri hai umr apni to ek dilruba ke sath go zindagi ke apne hi andaz hain magar munsif hai maut ek si shah-o-gada ke sath