bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisar karun mera kya hai main to jis se mil lun us se pyar karun lafz to mere dil se ho kar apna rang dikhate hain jo sochun lafzon mein dhaalun aur use shahkar karun apni khwahish zahir kar ke kyon halka mahsus karun milne ko jab ji chahe to kyon us ka izhaar karun jo kaifiyyat duri mein hai us ki apni lazzat hai kyon mil kar us ko bhi kho dun khud ko bhi be-kar karun us ko bughz hai mujh se lekin mera dil bhi saf nahin kyon na kadwa sach manun main kyon us se inkar karun tum ne bhi bas waqt guzara main ne bhi bas baaten kin tum is ko gar sach mano to main bhi ye iqrar karun