go is se iztirab mein hai jaan-e-zindagi phir bhi ye dard-e-ishq hai shayan-e-zindagi achchha hua ki maut ne mujh ko mita diya main dagh-e-nang tha sar-e-daman-e-zindagi naghme samajh raha hai inhen na-sukhan-shanas majmua marsiyon ka hai diwan-e-zindagi aahu-e-tishna aur fareb-e-sarab-e-dasht insan aur aish-e-gurezan-e-zindagi paya kahin na gauhar-e-maqsud ka nishan chhani bahut hai khak-e-bayaban-e-zindagi taskin-e-dil ba-juz gham-e-ulfat kahin nahin sabit hua ki dard hai darman-e-zindagi 'mahrum' kis ke nok-e-qalam ka hai shahkar afsana-e-firaq ba-unwan-e-zindagi