nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai kisi na-mehrban ki mehrbani yaad aati hai qarib-e-shakh-e-gul hoti hai jab dastan-sara bulbul hamein bhi bhuli-bisri ek kahani yaad aati hai dil-e-nashadman ko aur bhi nashad karne ko dil-e-nashadman ki shadmani yaad aati hai jawani aur bu-e-gul mein ya rab kya talluq tha ki bu-e-gul se piri mein jawani yaad aati hai ghazal ab khatm ho jati hai apni panch sheron par jawani aur tabiat ki rawani yaad aati hai