go kam-sukhan hai bhari mahfilon mein tanha hai wo apne aap se milta hai baat karta hai jo baat donon mein honi thi ho na pai kabhi so ghar mein aaj bhi tanhaiyon ka dera hai har ek haal mein rahte hain ishq wale khush visal-o-hijr ke mabain aisa rishta hai khada hai sahn mein tanha jo tundmund darakht na jaane is ko parindon pe kya bharosa hai hamare shahar ki diwar to salamat hai ab is ke par kise fikr kaun karta hai wo khub-ru hai hasin hai wajih hai 'sima' wo mera yar bada sanwla salona hai