mere pas ru ko andaza nahin tha

mere pas ru ko andaza nahin tha
main rasta tha magar sidha nahin tha

mujhe suraj pe ye bhi bartari thi
main raushan tha magar jalta nahin tha

safar ki aarzu kuchh didani thi
main qatra tha magar rukta nahin tha

jaden thin saya tha phal phul bhi the
main jitna tha faqat utna nahin tha

wo lagta tha magar aisa nahin tha
samundar hi sahi gahra nahin tha

bhadak utha jo tere aansuon se
wo mera zakhm tha shoala nahin tha

wo anhoni thi jo ho kar rahi thi
jo hona tha wahi hota nahin tha

kahan ki garmi-e-bazar duniya
main sikka tha magar chalta nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close