go ki thak-haar kar udan chali phir bhi wo su-e-asman chali jo mukammal hui thi pal bhar mein muddaton tak wo dastan chali dil ki manen ki aql ki manen zindagi bhar ye khinch-tan chali jaane wale palat ke dekh to le pichhe pichhe hamari jaan chali maut jaane hui hai pas ki fail zindagi de ke imtihan chali jang sari tumhin ko le kar thi zehn-o-dil ke jo darmiyan chali us ne khamosh kar diya mujh ko jis ki khatir meri zaban chali