is tarah main use bhulata hun pattharon par likha mitata hun taki us zindagi ko dar na lage maut ke faede ginata hun roz marta hun apne andar main roz ek lash main uthata hun dard mein kuchh kami si lagti hai zakhm par zakhm jab lagata hun sans jati hai le ke dur mujhe sans aati hai laut aata hun wasl ka tajraba nahin hai mujhe hijr ki shaeri sunata hun raqs karti hain gum-shuda yaaden aaj sab aaina bujhata hun jaanta hun ki dar khulenge nahin be-sabab chabiyan ghumata hun pahle karta hun khud use naraaz aur phir der tak manata hun dhadkanon shor kam karo kuchh der main bas un ko bula ke lata hun