go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha

go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha
is shakl mein wo aayat-e-parwardigar tha

kahte hain ek shakhs asiran-e-badr se
rishte mein khwesh-e-sayyad-e-wala-tabar tha

wo kaun zauj zainab-e-bint-e-rasul ka
bulas wo jo sahib-e-izz-o-waqar tha

tha hukm-e-am jo zar-e-fidya ke waste
dakhil har ek is mein sighaar-o-kibar tha

makke mein ye khabar jo gai gunjti hui
chhuta ada-e-fidya se jo mal-dar tha

damad-e-tajdar-e-madina asir-e-gham
apne ada-e-fidya se be-ikhtiyar tha

zainab ko di khabar ye janab-e-rasul ne
fidye ka hukm-e-khas magar bar bar tha

jis dam suna ye hazrat-e-zainab ne majra
fidya diya wo apne gale ka jo haar tha

laya gaya wo haar huzur-e-rasul mein
dekha jo us ko aap ka dil be-qarar tha

wo haar kya tha bagh-e-mohabbat ka dagh tha
ya aatish-e-firaq ka taza sharar tha

wo haar tha ki haar ki surat mein jalwa-gar
dagh-e-gham-e-khadija-e-ulfat-shiar tha

bhadkai us ne aatish-e-furqat dabi hui
yani gham-e-firaq ki wo yaadgar tha

wo aqd yani shan-e-mohabbat ka zinda-dar
aazadi-e-asir ka bhi chaara-kar tha

'kaifi' yahi wo jurat-e-ikhlas khas thi
jis se ki qasr-e-din-e-mubin ustuwar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close