ye bhi hai koi baat ki dil bad-guman na ho

ye bhi hai koi baat ki dil bad-guman na ho
mera to ho adu ka magar imtihan na ho

tere siwa jo dil mein koi jaan-e-jaan na ho
phir ye makan kahe ko ho la-makan na ho

ai zabt-e-dard-e-ishq kisi par ayan na ho
dil hi mein aah kar ki koi bad-guman na ho

shart-e-wafa hai shikwa-e-jaanan bayan na ho
mahshar ko ba-khuda mere munh mein zaban na ho

gulchin ho shad khush rahen sayyaad-o-baghban
gulshan mein gar nahin hai mera aashiyan na ho

kyon ho buton ke qaul ka har bar eatibar
dhoka na khaen hum jo khuda darmiyan na ho

us barq-e-fitna-khu ki jo chaalen na hon sharik
is aab-o-tab ka sitam-e-asman na ho

mera khuda-e-pak to hai mehrban-e-haal
kya fikr hai wo but jo nahin mehrban na ho

aaina hum dikhate hain o bad-guman tujhe
dekhen to apne husn pe tujh ko guman na ho

aane de roz-e-hashr zara ai shab-e-firaq
aisi jagah talash karun tu jahan na ho

duniya mein us ke jor se mumkin nahin najat
aisi zamin kahan hai jahan aasman na ho

be-fasl kyon falak pe ghataen uthin hain aaj
bachna ye meri aah ka zalim dhuan na ho

jo kuchh ki puchhna hai yahin mujh se puchh le
ya-rab buton ke ishq ki pursish wahan na ho

main apne dil mein rakkhunga ghairon ko qadr kya
mujh par laga ki tir koi raegan na ho

hikmat khuda ki thi ki ye khatka laga diya
phule na gul samaen jo khauf-e-khizan na ho

bandish ye shairon ki baid-az-qayas hai
mumkin nahin kisi ke kamar ya dahan na ho

tirchhi na ho nigah to bismil na ho koi
sidha na jae tir jo tedhi kaman na ho

allah re nigah-e-sanam ki safaiyan
chaurang kat jae magar kuchh nishan na ho

tuten na yun kisi pe sitam par sitam kabhi
'kaifi' jo aasman pe koi aasman na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close