go ye gham hai ki wo habib nahin par khushi hai koi raqib nahin kyun na hon tifl-e-ashk aawara ki moallim nahin adib nahin kal tasawwur mein aai jo shab-e-gor shab-e-furqat se wo muhib nahin hain sawari ke sath fariyaadi koi aur aap ka naqib nahin muddaton se hun jaanta hun watan dasht-e-ghurbat mein main gharib nahin tujh se ai dil khuda to hai aqrab gham nahin but agar qarib nahin jaan kyun kar bachegi furqat mein hain adu saikdon habib nahin zindagani maraz hai maut shifa juz ajal koi ab tabib nahin jite ji paun dost ka didar 'nasikh' aise mere nasib nahin