ai dil teri barbaadi ke aasar bahut hain

ai dil teri barbaadi ke aasar bahut hain
shahkar ke bahrup mein fankar bahut hain

na-waqif-e-adab-e-mohabbat ko saza kya
ai husn-e-azal tere khata-kar bahut hain

yaadon ki bahaaren bhi hain virana-e-dil mein
is dasht-e-bayaban mein ye gulzar bahut hain

ye waqt ki sazish hai ki suraj ki shararat
sae meri diwar ke us par bahut hain

dil khud jo nahin rakhte hain wo lete bhi nahin dil
khuddar ziyaada hain jo nadar bahut hain

jine ke liye dil mein jagah chahiye warna
marna hai to phir bas dar-o-diwar bahut hain

bas khair ki ho khair dua aao ye mangen
lagta hai ki ab shar ke taraf-dar bahut hain

khud se bhi to milne ki ijazat nahin dete
hasti ke haqaeq jo pur-asrar bahut hain

jine bhi nahin dete hain marne bhi na denge
kuchh mere sawalat jo be-kar bahut hain

diwan pe diwan bhi kam hote hain 'pinhan'
ashaar jo dil chhu len wo do chaar bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close