gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain dekh ke jin ko nind aa jae wo matwali aankhen hain munh se palla kya sarkana is baadal mein bijli hai sujhti hai aisi hi nahin jo phutne wali aankhen hain chah ne andha kar rakkha hai aur nahin to dekhne mein aankhen aankhen sab hain barabar kaun nirali aankhen hain be jis ke andher hai sab kuchh aisi baat hai us mein kya ji ka hai ye bawla-pan ya bholi-bhaali aankhen hain 'arzu' ab bhi khote khare ko kar ke alag hi rakh dengi un ki parakh ka kya kahna hai jo teksali aankhen hain