mamta bhari nigah ne roka to dar laga jab bhi shikar zin se bandha to dar laga tanha fasil-e-shahr pe baithi hui thi sham jab dhundlakon ne shor machaya to dar laga apne saron pe pagdiyan bandhe hue the lafz mazmun jab naya koi bandha to dar laga bujhte hue alao mein aatish-fishan bhi the kohram ratjagon ne machaya to dar laga ab daldali zamin bhi to ham-safar nahin dasht-e-sarab-e-sang se guzra to dar laga viran saaton ke the ye aakhiri nuqush be-samtiyon ne hum ko bataya to dar laga aasudgi ne thapkiyan de kar sula diya ghar ki zaruraton ne jagaya to dar laga ai 'rind' uljhanon si rahi be-karan si soch fikr-e-sukhan mein dard jo ubhra to dar laga