gosha-e-gul hi nahin bagh tha maskan apna jab se aazad hue ghar hua madfan apna fikr-o-alam ke sae se bahut dur tha ye yaad kyunkar na hamein aaega bachpan apna ye zar-o-mal ye duniya ki tamanna ye hawas in mein har koi hai ta-hashr hi dushman apna ghuncha-o-gul mein tabassum hi tabassum dekha dali dali pe nazar aaya hai bachpan apna lutf lete hue zakhmi se masiha ne kaha qabil-e-did hai har zakhm ka joban apna apne aslaf ke ajdad bhi hain dafn yahan kyon na ho jaan se pyara hamein gulshan apna hai yaqin khun shahidon ka hai is mitti mein tab hi khushbu se bhara phulon ne daman apna hum bhi aflak-nashinon mein hain shamil 'mukhlis' kyon na chamkega sitaron ki tarah fan apna