gosha-nashin hain anjuman-ara nahin hain hum lekin ye moajiza hai ki tanha nahin hain hum jab se mili hai daulat-e-irfan-o-agahi duniya mein rah ke shamil-e-duniya nahin hain hum mushkil nahin hai dosto taskhir-e-kaenat afsos bas isi ka hai yakja nahin hain hum farda ka khwab waqt ki aawaz hain janab ek yaadgar-e-ahd-e-guzishta nahin hain hum hasil hai hum ko lazzat-e-tauba khata ke baad behtar hai aadmi hain farishta nahin hain hum shadab hai hamin se tera gulshan-e-wajud dariya hain jaan-e-arzu sahra nahin hain hum