charcha hai bahut jis ka yahan nam bahut hai dar-parda wahi shakhs khun-asham bahut hai itna hi tere qurb ka hangam bahut hai ek sham jo mil jae wahi sham bahut hai kafi hai bahalne ko teri yaad ki daulat ai rahat-e-dil tera ye inam bahut hai har mod pe dhoka hai yahan kaise basar ho ye dahr pur-az-kulfat-o-alam bahut hai do ghunt se kya hoga abhi aur pila tu ai pir-e-mughan talkhi-e-ayyam bahut hai bas thodi si mohlat tu mujhe aur ata kar han ai malak-ul-maut abhi kaam bahut hai kuchh baat yaqinan hai teri zat mein 'tariq' is shahr mein aaya hai to kohram bahut hai