goya laton ki dor se bandha hua hai chand dekho siyah zulf mein kaise phansa hai chand punam ke baad dekha nahin sat din use main ne suna hai ruth kar aadha hua hai chand pahle jamal-o-nur ki baaton mein gum hua phir dagh dagh sun ke sisakne laga hai chand bhole ke sar pe bhi yahi gumbad pe bhi yahi tu kyon siyasaton mein ulajhne laga hai chand amman khadi hai pas mein thaali paros kar barson ke baad phir mera mama bana hai chand