hai jama khun ragon mein ki rawan kuchh bhi nahin tum se ye kis ne kaha hai ki wahan kuchh bhi nahin koi dhadkan ki si aawaz uthi sine mein jab ki hathon se tatola to kahan kuchh bhi nahin qabl aur baad ke manzar to hue hain yaksan tujh se pahle ki tere baad jahan kuchh bhi nahin dekh tanhai mujhe chhod gae yar sabhi muskura de ki siwa tere yahan kuchh bhi nahin phir se birha mein jala 'nur' karishma kya hai koi angar na aatish na dhuan kuchh bhi nahin