guftar badal kar kabhi kirdar badal kar

guftar badal kar kabhi kirdar badal kar
taqdir mein yun jit likho haar badal kar

ab 'mir' ke 'ghaalib' ke wo uslub kahan hain
ashaar kahe jate hain mear badal kar

sar-dardi ke unwan se bhi main hain ba-kasrat
hum ne to yahi paya hai akhbar badal kar

hoti hai har ek jang mein kyon haar hamari
dekho to kabhi qafila salar badal kar

taqdir ki likhi hui tahrir badal den
us shakhs ne baat apni har ek bar badal kar

apni bhi to raftar badal kar kabhi dekho
kya hoga bhala waqt ki raftar badal kar

majbur hain lachaar hain is daur mein 'wajid'
laen kahan se hum dil-e-khuddar badal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close