guftugu jab muhaal ki hogi baat us ki misal ki hogi zindagi hai khayal ki ek baat jo kisi be-khayal ki hogi thi jo khushbu saba ki chadar mein wo tumhaari hi shaal ki hogi na samajh paenge wo ahl-e-firaq jo aziyyat visal ki hogi dil pe tari hai ek kamal-e-khushi shayad apne zawal ki hogi jo ata ho visal-e-jaanan ki wo udasi kamal ki hogi aaj kahna hai dil ko haal apna aaj to sab ke haal ki hogi ho chuka main so fikr yaron ko ab meri dekh-bhaal ki hogi ab khalish kya firaq ki us ke ek khalish mah-o-sal ki hogi kufr-o-iman kaha gaya jis ko baat wo khadd-o-khal ki hogi 'jaun' dil ke khutan mein aaya hai har ghazal ek ghazal ki hogi kab bhala aaegi jawab ko ras jo bhi haalat sawal ki hogi