karobar-e-shauq mein bas faeda itna hua tujh se milna tha ki main kuchh aur bhi tanha hua koi palkon se utarti raat ko roke zara sham ki dahliz par ek saya hai sahma hua munjamid hoti chali jati hain aawazen tamam ek sannata hai sare shahar mein phaila hua aasmanon par likhi tahrir dhundli ho gai ab koi masraf nahin aankhon ka ye achchha hua is hatheli mein bahut si dastaken ru-posh hain us gali ke mod par ek ghar tha kal tak kya hua