gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-KHun-fishan kya kya

gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-khun-fishan kya kya
hamare zeb-e-daman hai bahaar-e-gulsitan kya kya

kashud-e-matlab-e-ashiq ke hain lab par guman kya kya
ada-e-khamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya kya

faqat ek sadgi par shokhiyon ke hain guman kya kya
nigah-e-sharmagin se hai nihan kya kya ayan kya kya

dil-e-khun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-khizan kya kiya

junun se kam nahin hai kuchh hujum-e-shadmani bhi
hawa-e-gul mein hai jame se bahar baghban kya kya

tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain
hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya kya

chali aati hai itrai hui kuchh ku-e-jaanan se
basi hai rashk ki bu mein nasim-e-bostan kya kya

qadam rakhte nahin hain wo zamin par be-niyazi se
badha jata hai yan shauq-e-sujud-e-astan kya kya

'zahir'-e-khasta-jaan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai
majazi mein haqiqi ke hue hain imtihan kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close