sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak ai khaliq-e-har-dard magar phir bhi kahan tak pahunche na kahin dida-e-khun-naba-fashan tak wo harf-e-shikayat nahin aaya jo zaban tak ye meri nigahon ke banae hue manzar kambakht wahin tak hain nazar jae jahan tak ek rasm-e-wafa thi wo zamane ne utha di ek zahmat-e-be-kar thi uthti bhi kahan tak tum muatamid-e-raaz the kis tarah se pahunchi hairat hai meri baat zamane ki zaban tak chhute jo qafas se to wahi qaid-e-chaman thi aazad yahan tak the giraftar yahan tak taswir-e-rukh-e-yar khinchi jati hai 'yawar' milti hai fareb-e-gham-e-dauran se kahan tak