gul-ba-daman na koi shoala ba-jaan hai ab ke chaar su waqt ki rahon mein dhuan hai ab ke sham-e-hijran jise hathon mein liye phirti hai kaun jaane ki wo taswir kahan hai ab ke zindagi raat ke phaile hue sannate mein dur hatte hue qadmon ka nishan hai ab ke teri palkon pe koi khwab larazta hoga mere giton mein koi dard jawan hai ab ke ek ek sans pe dhoka hai kisi aahat ka ek ek ghaw ujalon ki zaban hai ab ke sahn-e-gulshan hai bahaaron ke lahu se rangin shakh-e-gul hai ki bas ek tegh-e-rawan hai ab ke jo kabhi husn ke honton pe na aaya 'jami' hae wo harf-e-tasalli bhi garan hai ab ke