har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga chala to hun ki teri rahguzar dikha dunga gham-e-hayat mere sath sath hi rahna payambari se tera silsila mila dunga agar wahan bhi teri aahaten na sun paun to aarzu ki hasin bastiyan jala dunga na intizar na aahen na bhigti raaten khabar na thi ki tujhe is tarah bhula dunga kuchh aur tirgi-e-sham-e-gham sahi 'jami' kuchh aur apne charaghon ki lau badha dunga