gul-e-ushshaq rang-e-bakhta hai sarw apne chaman ka fakhta hai aatish-e-gham se aab sang hue ashk aaina-e-gudakhta hai ishq baala hai husn-e-sarkash se saya-e-sarw baal-e-fakhta hai koi kahta asir-e-saghar ko hind mein bhi hua marakhta hai dekh sauda 'raza' ka diwane tera majnun junun-e-sakhta hai