tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti jo karna chahta hun zindagi karne nahin deti koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki gham-o-alam ke maron ko bhi marne nahin deti andhera lakh ho mujh ko sahar ki aas rahti hai yahi wo raushni hai jo mujhe darne nahin deti koi mausam ho un zulfon ki khushbu le hi aati hai hawa-e-shauq dil ke zakhm ko bharne nahin deti khuda ne mere andar kya khabar kya chiz rakh di hai jo samjhauta mujhe haalat se karne nahin deti mujhe malum hai wada nibhana sakht mushkil hai meri kam-himmati inkar bhi karne nahin deti guzarti rau badalti ja rahi hai ek ek shai ko kisi shai se mujhe ulfat ka dam bharne nahin deti