gul ho saba ho shama ho shoala ho chandni ho tum jhalki thi koh-e-tur par bas wahi raushni ho tum tum se wajud hai mera harkat-e-qalb ho tumhi quwwat-e-zehn-o-dil ho tum ruh ki tazgi ho tum wabasta tum se jo bhi hon mujh ko wo gham qubul hain bakhshe sukun jo daimi bas ek wahi khushi ho tum mere takhaiyyulat ki parwaz ho gai buland jab se nazar ke raste zehn mein aa gai ho tum tum se kaha bhi tha 'majid' ifsha na karna raaz-e-ishq ruswa hue gali gali ye kaise aadmi ho tum