gham se na aansuon se na diwangi se hum waqif nahin the aap se pahle kisi se hum zinda rakhin buzurgon ki hum ne riwayaten dushman se bhi mile to mile aajizi se hum sab sar-phiri hawaon ko dushman bana liya raushan hue the ladne ko ek tirgi se hum sansen mahak rahi hain nigahon mein nur hai phir aaj mil ke aae hain ek aadmi se hum suraj to sirf din ke ujale ka hai imam hum hain charagh ladte hain tira-shabi se hum badnam ho raha hai muqaddar to be-sabab barbaad hain khud apne amal ki kami se hum