gul ke hone ki tawaqqo pe jiye baithi hai har kali jaan ko mutthi mein liye baithi hai kabhi sayyaad ka khatka hai kabhi khauf-e-khizan bulbul ab jaan hatheli pe liye baithi hai tir-o-shamshir se badh kar hai teri tirchhi nigah saikdon aashiqon ka khun kiye baithi hai tere rukhsar se tashbih use dun kyunkar shama to charbi ko aankhon mein diye baithi hai tishna-lab kyun rahe ai saqi-e-kausar 'chanda' ye tere jam-e-mohabbat ko piye baithi hai