donon jaanib qaid-shuda is khush-fahmi mein rahte hain sarhad ke us par parinde aazadi mein rahte hain sham talak aadab bajate gardan dukhne lagti hai payaade ho kar shahon wali aabaadi mein rahte hain gar roe to aankhon ke sab bashinde bah jaenge hae shikasta khwab hamare is basti mein rahte hain zina-dar-zina jab teri yaad utar kar aati hai munh bae ashaar hamare hairani mein rahte hain us ki bak-bak ghar se chal kar chand talak ho aati hain aur hum gum us ke honton ki turpai mein rahte hain chaar kitaben sath nahin aur sau ghazlen kah bhi marin ab ke likhne wale jaane kis jaldi mein rahte hain aadhi raat ghazal kahne ka shauq kise hai 'saurabh'-ji bas itni si baat hai tab hum tanhai mein rahte hain