gul ki khushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah dil pareshan hai gard-e-ram-e-ahu ki tarah jo gul-andam makinon ko taraste hain hanuz shahar mein kitne khandar hain mere pahlu ki tarah zulf-e-giti ko bhi aaina-o-shana mil jae tum sanwar jao jo aaraish-e-gesu ki tarah raqs karta hai zar-o-sim ki jhankar pe fan marmarin farsh pe bajte hue ghunghru ki tarah aaj bhi shobda-e-ahl-e-hawas hai insaf dast-e-baqqal mein purkar taraazu ki tarah mahsharistan-e-sukun hai meri hasti 'mahir' kisi shahbaz ke tute hue bazu ki tarah