aap aae the yan jafa ke liye jaiye bhi kahin khuda ke liye dil diya tha tumhein jafa ke liye hosh mein aaiye khuda ke liye tere bazar-e-dahr mein gardun hum bhi aae hain ek qaba ke liye panw hain kucha-e-tawakkal mein hath uthte nahin dua ke liye aa kabhi to mere qafas ki taraf ai nasim-e-chaman khuda ke liye hai tah-e-khak farsh-e-khak laga shah ke waste gada ke liye dam phadakta hai tauf-e-kaba par dil tadapta hai karbala ke liye sar uthae hain khar-e-dasht-o-junun 'muntahi' se barhana-pa ke liye