gul ko bu bulbul ko naghma chahiye ai dil-e-muztar tujhe kya chahiye nim-shab mein ho tulu-e-aftab ai gham-e-dil aisa naghma chahiye ye sitare qatra-e-shabnam banen soz-e-dil pur-dard nala chahiye tu bahut achchha hai lekin ai nigar dil ko kuchh tujh se bhi achchha chahiye meri hasti ko inayat ki nazar khirman-e-dahqan ko shoala chahiye ramz-e-ulfat hai yahi ahl-e-wafa aaina dil ka shikasta chahiye gesu-e-jaanan agar suljha to kya gesu-e-geti sanwarna chahiye zindagi-e-khizr ki hajat nahin sarkhushi ka ek lamha chahiye dil ki khwahish hajat-e-darwesh hai tere dar se kuchh to milna chahiye main nasim-e-subh hun mujhe se hijab ai urus-e-lala aisa chahiye 'taj' hai banda tera husn-e-azal kya bhala is se bhi parda chahiye