diwana kahe hai koi farzana kahe hai ai 'taj' zamana tujhe kya kya na kahe hai phulon ki khamoshi ho ki bulbul ki fughan ho unwan badal kar mera afsana kahe hai anjam-e-mohabbat hai dil-o-jaan se guzarna har subh ye khakistar-e-parwana kahe hai kya fikr hai saqi jo mai-o-jam nahin hain duniya teri aankhon hi ko paimana kahe hai pursish se hua aur bhi kuchh dard ziyaada achchhe ho kaha jaise ki begana kahe hai dil kah ke pukare hai jise sara zamana 'taj' us ko magar husn ka nazrana kahe hai