gul nahin khar samajhte hain mujhe sab giran-bar samajhte hain mujhe hain andhere bhi gurezan mujh se chashm-e-bedar samajhte hain mujhe meri peshani pe mehrab nahin wo gunahgar samajhte hain mujhe daulat-e-dard mera sarmaya kyun wo nadar samajhte hain mujhe dur baithe hain meri mahfil se wajh-e-azar samajhte hain mujhe chaara-gar bhi hain gurezan mujh se tera bimar samajhte hain mujhe kya kahun un se maal-e-ulfat jo teri haar samajhte hain mujhe meri ghurbat nahin khulti mujh par log zardar samajhte hain mujhe mera isbaat mohabbat hai meri aur wo inkar samajhte hain mujhe main nahin bazm se jaane wali ahal-e-darbar samajhte hain mujhe kab samajhna wo mujhe chahte hain kar-e-dushwar samajhte hain mujhe kyun 'sahar' haal sunaun un ko mere gham-khwar samajhte hain mujhe