junun-e-ishq ki aamadgi ne kuchh na diya yahan bhi zist ki uftadgi ne kuchh na diya lahu ki mauj se baam-e-khayal raushan hai damakte chand ki ustadgi ne kuchh na diya ye lab tumhaare nahin kar sake masihai unhen bhi waqfa-e-wamandgi ne kuchh na diya samet lae the jitne bhi khwab the lekin huzur-e-dost bhi diwangi ne kuchh na diya main dekhti thi tere khal-o-khad ko hairat se magar ye kya ki meri sadgi ne kuchh na diya tumhaari jeb bhi khali tumhaare dil ki tarah tumhein bhi fursat-e-yak-bargi ne kuchh na diya diye ke nur mein karte rahe safar sare wo jin ko nisbat-e-sayyargi ne kuchh na diya bhatak rahe hain kisi ajnabi masafat mein mah-o-nujum ko aawargi ne kuchh na diya wo log kaun hain jin ko khuda nasib hua hamein to dil teri nazzargi ne kuchh na diya ye aankh aaj bhi dar par lagi hui hai 'sahar' tamam umr ki bechaargi ne kuchh na diya