gul ne jab ikhtiyar ki aawaz aur mahki bahaar ki aawaz kab sunengi hamare rishton ki sukhi shakhen bahaar ki aawaz aane wala hai kaun sa mausam gul se aati hai khar ki aawaz pattharon par asar nahin karti jhil dariya chinar ki aawaz jaane kis samt kis samundar mein so gai aabshaar ki aawaz kar gai hai samaaten majruh tutte e'tibar ki aawaz kal inhin baam-o-dar se aaegi mere naqsh-o-nigar ki aawaz ab to aane lagi hai aankhon se nind ke intizar ki aawaz tu muqarrir hai kis zamane ka tujh se aati hai dar ki aawaz khanjaron ke badal gae lahje ek gharib-ud-dayar ki aawaz qafile ka pata batae kaun chup hai sahra ghubar ki aawaz tere har sher ka hai ai 'kazim' harf-e-tanha hazar ki aawaz