KHun ke chhinTe sar-e-sahn-e-gulistan dekhe

khun ke chhinte sar-e-sahn-e-gulistan dekhe
main ne aise bhi kai jashn-e-bahaaran dekhe

mujh ko har dard-e-masiha ki khabar hai lekin
kis ko fursat hai mera haal-e-pareshan dekhe

bebasi main tujhe kis nam se tabir karun
aashiyan jalte rahe aur nigahban dekhe

aap ne jalte makanon ki kahani hi suni
meri aankhon ne to jalte hue insan dekhe

khud ko tufan se mahfuz samajhne walo
main ne sahil se bhi uthte hue tufan dekhe

khak hoga use andaza-e-tufan 'anwar'
rah ke sahil pe jo maujon ko pareshan dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close