gul-o-bulbul bahaar mein dekha ek tujh ko hazar mein dekha jal gaya dil safed hain aankhen ye to kuchh intizar mein dekha jaisa muztar tha zindagi mein dil wohin main ne qarar mein dekha aable ka bhi hona daman-gir tere kuche ke khar mein dekha tera aalam hua ye roz-e-siyah apne dil ke ghubar mein dekha zabh kar main kaha tha marta hun dam nahin mujh shikar mein dekha jin balaon ko 'mir' sunte the un ko is rozgar mein dekha