gul tera rang chura lae hain gulzaron mein jal raha hun bhari barsat ki bauchhaaron mein mujh se katra ke nikal ja magar ai jaan-e-haya dil ki lau dekh raha hun tere rukhsaron mein husn-e-be-gana-e-ehsas-e-jamal achchha hai ghunche khilte hain to bik jate hain bazaron mein zikr karte hain tera mujh se ba-unwan-e-jafa chaara-gar par piro lae hain talwaron mein zakhm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand gham ki daulat bhi hai shamil mere shahkaron mein muntazir hain ki koi tesha-e-takhliq uthae kitne asnam abhi dafan hain kohsaron mein mujh ko nafrat se nahin pyar se maslub karo main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein