danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha main aisi tegh le ke utha jis mein phal na tha kya dard tut tut ke barsa hai raat bhar itna ghubar to mere chehre pe kal na tha pathraw kar raha hai wo khud apni zat par kya dil ke masale ka koi aur hal na tha shakhen ladi hui thin to patthar na tha nasib patthar pade mile to darakhton mein phal na tha shab ki hawa se haar gai mere dil ki aag yakh-basta shahr mein koi radd-o-badal na tha ab ek ek harf se chhanti hai raushni tum se mile na the to ye husn-e-ghazal na tha 'qaisar'! zamir-e-waqt ko dekha kured ke sadiyan rakhi thin dosh pe mutthi mein pal na tha