gulab ki rut se ja ke puchho the par mere pas titliyon ke magar wo chashm-e-zadan ki tauba pahad tute the badliyon ke wo sara ilzam sar pe le kar khud apni qatil thahar chuki thi hazar dhundo meri qaba par nishan milenge na ungliyon ke qusur kis ka tha kaun jaane na hum hi samjhe na tum pe zahir kisi talab ka wajud hain hum shigaf kahte hain pasliyon ke na jaane kab be-sada hua wo na jaane kab be-zarar hua wo akela tan is tarah tha us ke hon par juda jaise titliyon ke hazar aankhon ke tez nashtar mere badan mein chubhe hue hain raqib aankhen sama gai hain lage hain til mujh pe putliyon ke wo aisa patthar tha jis ke andar hazar mausam chhupe hue the hasin lafzon ke sachche moti asir the us ki ungliyon ke nasim hi thi jo chal rahi thi thakan ke ehsas ko samete hasin khushbu se paikaron ko to naz uthane the bijliyon ke