agarche jaan ka khatra nai udan mein tha parinda phir bhi bahut dur aasman mein tha mili jo manzil-e-imkan ba-justuju-e-hazar ajib nashsha safar-dar-safar takan mein tha usi ne ghar ke charaghon ki lau badhai hai shumar jis ka kabhi nang-e-khandan mein tha main dushmanon se har ek lamha tha bahut mohtat milega zakhm rafiqon se kab guman mein tha main tang aa ke tattul se dhup mein nikla sukun-e-qalb-o-nazar yun to saeban mein tha 'nasim' chashm-zadan mein zamin pe aan gira agarche tir-e-sitamgar abhi kaman mein tha