gulab tha na kanwal phir badan wo kaisa tha ki jis ka lams bahaaron mein rang bharta tha jahan pe sada-dili ke makin the kuchh paikar wo jhonpada tha magar pur-shikoh kitna tha masham-e-jaan se guzarti rahi hai taza hawa tera khayal khule aasaman jaisa tha usi ke hath mein tamghe hain kal jo maidan mein hamari chhanw mein apna bachao karta tha ye sach hai rang badalta tha wo har ek lamha magar wahi to bahut kaamyab chehra tha har ek nadi se kadi pyas le ke wo guzra ye aur baat ki wo khud bhi ek dariya tha wo ek jast mein nazron se dur tha 'amabar' khala mein sirf sunahra ghubar phaila tha