muntazir aankhen hain meri sham se shama raushan hai tumhaare nam se chhin leta hai sukun shohrat ka shauq is liye hum rah gae gumnam se sach ki khatir jaan jati hai to jae hum nahin darte kisi anjam se apne man ki baat ab kis se kahun aaina naraaz hai kal sham se kya ajab duniya hai ye duniya yahan log milte hain magar bas kaam se aisa kuchh ho jae dil tute nahin sochiyega aap bhi aaram se mujh se puchho aansuon ki barkaten mutmain hun ranj-o-gham aalam se