gulabon si tumhaari yaad har jaanib mahakti hai tumhaari justuju mein ab hawa ki ru bhatakti hai jahan bhar mein hazaron boliyan mithi bahut lekin meri urdu zaban un mein nagine si chamakti hai buzurgon ki nishani hai jise chadar main kahti hun use jab odh leti hun meri surat damakti hai sukun milta mujhe ye jaan kar beti bahut khush hai tabhi to khwab mein aa kar wo hansti hai chahakti hai nazar jab aap ki hogi khulenge bab rahmat ke wagarna ruh-e-insani andheron mein bhatakti hai jo khwahish ho nahin sakti zamane mein kabhi puri daba ke dard sine mein wahi khwahish sisakti hai