KHushi ke yas ke lamhe hamein rulate hain

khushi ke yas ke lamhe hamein rulate hain
ki zindagi mein nasheb-o-faraaz aate hain

jalao apne labon par tabassumon ke diye
andhere gham ke to aate hain aur jate hain

kabhi jo dil mein wafa ke charagh jalte the
magar wo aaj kahan raushni lutate hain

jahan bhi jaun wahan par sukun nahin milta
har ek jagah pe nae hadse satate hain

jo ho bhi jae tamanna ka khun sah lena
ye abr wo hain jo mausam badal ke jate hain

tere nasib ke tare bhi 'shad' chamkenge
hum ab charagh teri rah mein jalate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close